Friday 26 October 2018

Jitna Diya Sarkar Nay Mujh ko - Urdu Audio Naat with Lyrics - Khursheed Ahmed



Lyrics:
Jitna dia sarkar ny mujhko, iItni meri aukat nhi
ye to karam hy unka warna, mujh main to aisi bat nhi

jitna dia sarkar ny mujhko,

tu bhi wahen par ja jis dar par sabki bigri banti hy
Ik teri taqdeer bnana unky liye kuch baat nhi

Ishq-e-shahy batha sy pehly, muflis-o-khasta haal tha main
Naam-e-Muhammad k me qurban, ab wo mery halaat nhi

Zikar-e-nabi main din jo guzry, vo din sab sy behtar hy
Yaad-e-nabi main raat jo guzry, is sy behtar raat nhi

Jo he meri jan-o-eman, kia main unki nazar karun
Pass mery ashkon k ilawa, aur koi soghat nhi

Ghor to kar sarkar ki tujh par kesi khas inayat hy
Kousar tu hy unka sanakhawan, ye mamuli bat nhi

Jitna dia sarkar ny mujhko, itni meri aukat nhi
Ye to karam hy unka warna, mujh main to aisi bat nhi

Please subscribe for more:
https://www.youtube.com/c/AlhamdulillahTV?sub_confirmation=1


source

No comments:

Post a Comment