Friday 26 October 2018

Woh Kehti Hai Suno Jana ~ Urdu Poetry [Lyrics]



Woh Kehti Hai Suno Jana Mohabbat Maum Ka Ghar Hai
Tapish Ye Bad Ghumani Ki Kaheen Pighla Na De Isko!

Main Kehta Hoon K Jis Dil Mai Zara Bhi Bad Ghumani Ho
Wahan Kuch Aur Ho Toh Ho Mohabbat Ho Nahi Sakti!

Woh Kehti Hai Sada Aisey Hi Kya Tum Mujhko Chahogey
K Mai Iss Mai Kami Bilkul Gawara Kar Nahi Sakti!

Main Kehta Hoon Mohabbat Kya Hai Ye Tumne Sikhaya Hai
Mujhe Tumsey Mohabbat K Siwa Kuchh Bhi Nahi Aata!

Woh Kehti Hai Judai Se Boht Darta Hai Dil Mera
K Tumko Khudd Se Hatt Kar Daikhna Mumkin Nahii Hai Abb!

Main Kehta Hoon Yahi Khadshey Bohot Mujhko Satatey Hain
Magar Sach Hai Mohabbat Mai Judai Sath Chalti Hai!

Woh Kehti Hai Batao Kya Merey Bin Jee Sakogay Tum?
Meri Batain Meri Yadain, Meri Aankhain Bhula Do Gay?

Main Kehta Hoon Kabhi Is Baat Par Socha Nahi Mainey
Agar Ik Pal Ko Bhi Sochoon Toh Sansain Rukne Lagti Hain!

Woh Kehti Hai Tumhe Mujhse Mohabbat Is Qadar Kyun Hai
K Main Ik Aam Si Larki Tumhe Kyun Khas Lagti Hoon!

Main Kehta Hoon Kabhi Khudko Meri Aankhon Se Tum Daikho Meri Deewangii Kyun Hai Ye Khud Hi Jaan Jaaogay!

Woh Kehti Hai Mujhe Waraftagee Se Daikhte Kyun Ho?
K Mai Khudko Boht Hi Qeemati Mehsoos Karti Hoon

Main Kehta Hoon Mata E Jaan Boht Anmol Hoti Hai
Tumhe Jab Dekhta Hoon Zindagi Mehsoos Karta Hoon!

Woh Kehti Hai Mujhey Alfaaz K Jughnoo Nahi Miltey
Tumhe Batla Sakoon Dil Mai Merey Kitni Mohabbat Hai!

Main Kehta Hoon Mohabbat Toh Nigahon Se Chalakti Hai
Tumhari Khamoshi Mujhse Tumhari Baat Karti Hai!

Woh Kehti Hai Batao Na Kisey Khone Se Darte Ho?
Batao Kaun Hai Wo Jisko Ye Mausam Bulate Hain?

Main Kehta Hoon Ye Meri Shayari Hai Aaina Dil Ka
Zara Daikho Batao Kuchh Tumhe Is Mai Nazar Aaya!

Woh Kehti Hai K Atif Jee Boht Batain Banatey Ho
Magar Such Hai K Ye Batain Boht Hii Shaad Rakhti Hain!

Main Kehta Hoon Ye Sab Batain, Fasane Ikk Bahana Hain
K Pal Kuchh Zindagani K Tumharey Sath Kat Jayain!

Phir Uss K Baad Khamoshi Ka Dilkash Raqs Hota Hai
Nagahain Bolti Hain Aur Lab Khamosh Rehte Hain!


source

No comments:

Post a Comment